Tuesday, March 29, 2011

Jab Jab Bahar Aayee by Mohd. Rafi/Lata Mangeshkar & Mahendra Kapoor

***

Jab jab bahar aaye aur phool muskaraye mujhe tum yaad aaye,

jab jab bhi chand nikla aur tare jagmagaaye mujhe tum yaad aaye.

Apna koi tarana maine nahin banaaya, tumne mere labon pe har ek sur sajayaa

jab jab mere taraane duniyane gungunaaye mujhe tum yaad aaye.

Ek pyar aur wafa ki tasveer maanta hoon, tasveer kya tumhe main taqdeer manta hoon,

dekhi nazar ne khushiyaan, ya dekhe gam ke saaye mujhe tum yaad aaye

Mumkin hai zindagaani kar jaaye bewafaai lekin yeh pyar woh hai jismein nahin judaai,

is pyar ke fasaane jab jab zuban pe aaye mujhe tum yaad aaye

***

जब जब बहार आये और फूल मुस्कराये मुझे तुम याद आये,

जब जब भी चांद निकला और तारे जगमगाये मुझे तुम याद आये.

अपना कोई तराना मैंने नहीं बनाया, तुमने मेरे लबों पे हर एक सुर सजाया

जब जब मेरे तराने दुनियाने गुनगुनाए मुझे तुम याद आये.

एक प्यार और वफ़ा कि तस्वीर मानता हूँ, तस्वीर क्या तुम्हे मैं तकदीर मानता हूँ,

देखी नज़र ने खुशियाँ, या देखे गम के साये मुझे तुम याद आये

मुमकिन है जिंदगानी कर जाये बेवफाई लेकिन यह प्यार वह है जिसमें नहीं जुदाई,

इस प्यार के फ़साने जब जब जुबान पे आये मुझे तुम याद आये

***

No comments:

Post a Comment