Wednesday, April 6, 2011

Latest Shayaries

Har taraf padhai ka saya hai

Kitabo main sukh kisne paya hai

Ladke to jate hai tution ladkiyan dekhne

Aur sir kehte hai dekho itni barsat mai ladka padhne aya hai


<------------------------------------------------------------------>

Apni to mohabbat ki itni kahani hai,

Tooti hui kashti or thera hua pani hai,

Ek phool kitabon may dam tor chuka hai,

Magar kuch yaad nahi aata yeh kis ki nishani hai…

<------------------------------------------------------------------>

Wo pass hi na aaye to izhaar kya karte

Khud bane nishana to shikar kya karte

Marne par bhi khuli rahe humari aankhien

Isse jyada kisi ka intezaar kya karte

<------------------------------------------------------------------>

Main dil ka ameer mukaddar ka garib tha.,

Mil k bichadna mera nasib tha,

Chah k bhi kuch na kar sake hum,

Ghar bhi jalta raha aur samandar bhi kareeb tha…………

<------------------------------------------------------------------>
Yaadon mai hum rahe ye ehsaas rakhna

Nazro se dur par dil ke paas rakhna

Ye nahi kehte ki sath raho

Dur hi sahi par hume yaad rakhna.

<------------------------------------------------------------------>
Na wo aa sake na hum

Kabhi ja sake na dard dil ka

Kisi ko suna sake bus baithe hai yadon me lekar aas unki

Na unhone yaad kiya or na hum unko bhula sake.

<------------------------------------------------------------------>

Aankho mai arman diya karate hai ;

Ham sabaki Nind Chura liya karate hai :

Ab jab jab aapki palke Zukengi ;

Samaj lena ham aapako yaad kiya karate hai :

<------------------------------------------------------------------>

Aapne kaha tha chand ko

Dekhkar sona har raat ko!!

Na jaane kyun hum bhula Na sake

Aapki itni si baat ko!!

<------------------------------------------------------------------>

Chal padi hai kashtiyaan samandar dur hai kinara

Inn maajoon se puch lena kya haal hai hamara

Ab hawaein karengi roshiniyon ka faisla

Jis diye main jaan hogi woh diya reh jayega

<------------------------------------------------------------------>

Vo ik dost jo pyara sa lagta hain,

Bahut pass hai dil k phir bhi juda sa lagta hain,

Bahut dino se aaya nahi koi paigam uska,

Shayad kisi baat pe khafa sa lagta hain …

<------------------------------------------------------------------>

Tere bina ek pal bhi jea nahi sakta,

Marna chahu bhi to mar nahi sakta,

Tere sath jeene ka wada kiya hai maine,

Iss pyare se wade se main mukar nahi sakta.

Mana ki mulaqat me tamam mushkilein ayengi,

Phir bhi tujhse mile bina main reh nai sakta,

Tujhe qasam hai meri mera sath nibhana har mod per,

Tujhse bichad ke ek kadam bhi main chal nai sakta.

<------------------------------------------------------------------>

Arsh ke aansu kabhi bhi farsh par rukte nahi

Badalon ke samne sukhe chaman jhukte nahi

Kar bharosa uss khuda par jee rahe hain har bashar

Girne wale kaun kehta hai kabhi uthte nahi .

<------------------------------------------------------------------>

Jab khuda ne ishq banaya hoga

Tab khud khuda ne bhi use aazmaya hoga

Hamari aaukat hi kya hai

Kambakht ishq ne khuda ko bhi rulaya hoga

<------------------------------------------------------------------>

Ye raat itni tanha kyu hoti hai

Kismat se apni sabko shikayat kyu hoti hai

Ajeeb khel khelti hai kismat

Jise hum paa nahi sakte

Ussi se hi mohabbat kyu hoti hai?

<------------------------------------------------------------------>

Kisi gair ko apna bana ke to dekhiye..

Aur kisi rote ko hansa ke to dekhiye..

Pyar, mohobbat, dosti, ishq… Sab dhokha hai..

Par maza aayega khuda kasam…

Ye dhokha ek baar kha ke toa dekhiye..

<------------------------------------------------------------------>

Zindagi mai ek sapna dekha,

Jise ham haqiqat samajh baithe,

Maine jise pyar kiya wo majak samajh baithe…

<------------------------------------------------------------------>

Jisko samajti hun mai anjana sa chehra….

Jane mile kis mod wo pehchana sa chehra…..

Wo khel rahe hai ya sach hai ye haqiqat……..

Koi mujhe bata de kya hai tera “chehra”

<------------------------------------------------------------------>

Likho toa kuch aisa likho

Ke kalam bhi rone pe majboor ho jaye

Har lub mai woh dard paida karo

Ke woh bhi tumhe pyaar karne per majboor ho jaye……..

<------------------------------------------------------------------>

Jindagi ki Rah mai Bahut se Dost Milenge,

Ham Kya Hamse Bhi Acchhe Hajar Milenge,

Lekin In Acchhon Ke Bhid Mai Bhula Na Dena Hame,

Kyu Ki Ham Tumhe Dubara Kaha Milenge.

<------------------------------------------------------------------>

prem – ek gandu jivan

prem na dariya ma dubki to lagavi che. tane pamva ni aaa lagan to lagavi che.
bus duniya samji jay mara prem ne.
nai to jivan ni baji to lagvai j che.